|| Maasum Sanam Tu Aur Mujhe - Saif Ali Khan, Monica Bedi, Surakshaa Romantic Song ||

2017-08-24 62

|| Maasum Sanam Tu Aur Mujhe - Saif Ali Khan, Monica Bedi, Surakshaa Romantic Song ||
Movie/album: Surakshaa (1995)

Singers: Alka Yagnik, Kumar Sanu

Song Lyricists: Faaiz Anwar

Music Composer: Anu Malik

Music Director: Anu Malik

Director: Raju Mavani

Mohabbat mohabbat ye hai mohabbat
Inayat inayat ye hai inayat
Masoom sanam tu aur mujhe
Masoom sanam tu aur mujhe,
Deewana bana de
O masoom sanam tu aur mujhe,
Deewana bana de
Main pyar tujhe kyun karne laga
Main pyar tujhe kyun karne laga
Itna to bata de

Mohabbat mohabbat ye hai mohabbat
Inayat inayat ye hai inayat
Mahebub mere duniya se mujhe
Mahebub mere duniya se mujhe
Begana bana de
Mahebub mere duniya se mujhe
Begana bana de
Main pyar tujhe kyun karne lagi
Main pyar tujhe kyun karne lagi
Itna to bata de

Pichhle janam ka tera mera rishta hai jaise
Ek khwab sa hai aankho mein basa
Ye chehra hai jaise
Dil bhi de du, jaan bhi de du, ulfat ke badle
Jo mang le tu de sakta hu chahat ke badle
Mohabbat mohabbat ye hai mohabbat
Inayat inayat ye hai inayat
Madhosh kare jo dil ko mere,
Wo jaadu chala de
O masoom sanam tu aur mujhe,
Deewana bana de
Main pyar tujhe kyun karne lagi
Itna to bata de

Phulo ke jaise khilte badan pe lahraye aanchal
Khushbu wafa ki dil mein bikhre
Saanso mein ho halchal
Tu muskura ke jab dekhe,
Dil pe nasha chhaye
Har ek tamanna le angdai,
Armaan machal jaye
Mohabbat mohabbat ye hai mohabbat
Inayat inayat ye hai inayat

Bejaan si hai dil ki dhadkan,
Jeena to sikha de
Mahebub mere duniya se mujhe,
Begana bana de
Main pyar tujhe kyun karne lagi
Itna to bata de
Masoom sanam tu aur mujhe,
Deewana bana de
Main pyar tujhe kyun karne laga
Itna to bata de
Mohabbat mohabbat ye hai mohabbat
Inayat inayat ye hai inayat.

Free Traffic Exchange